Usey Bhool Jaa "Sad Poetry"
Download sad roman urdu poetry picture or mp3.
Roman Urdu Sad Poetry:
"Usey Bhool Jaa"
kahan mor tha,usey bhool jaa.
woh jo mil giya usey yaad rakh
jo nahi mila usey bhool jaa.
gazab ka shair hai ye
"woh tere naseeb ki barishain
kisi or chat pe baras gayin"
dil.e.be khabar meri baat sun
usey bhool jaa.usey bhool jaa
main to gum tha tere he dehan main
teri aas tere guman main
saba keh gyi mere kaan main
mere saat aa usey bhool jaa
or kisi aankh me nahi ashk.e.ghum
tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhey zindagi ne bhula diya
tu bhi muskura usey bhool jaa
kyu atta hua hai ghubar main
ghum.e.zindagi k fishar main
wo jo dard tha tere bakht main
so ho gya usey bhool jaa
na wo ankh he teri ankh thi
na wo khwab he tera khwab tha
dil.e.muntazir to ye kis liye tera jagna
usey bhool jaa.
ye jo raat din ka hai khel tha
esey dekh espe yaqeen na kar
nahi aks koi bhi mustaqil
sare aaina usey bhool jaa.
k jo bisat.e.jan he ulat gya
wo jo rastey se plat gya
usey rokne se hosool kiya
usey mat bula usey bhool jaa
to ye kis liye shab.e.hijr k
usey har sitarey me dekhna
wo falak k jispe miley they hum
koi orr tha usey bhool jaa
tujhey chand ban kar mila tha jo
tere sahilo pe khila tha jo
woh tha aik darya visaal ka
so utar gya ,usey bhool jaa
jo bisate jaan he ult gya
woh jo rastey se plat gya
usey bhool jaaaaaaaaaaaaa....
Sharing And composed by
Sonya Khan95
Download Mp3
Sign up here with your email
ConversionConversion EmoticonEmoticon